اردو हिंदी
Wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai | Shaahi Shayari
wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai

Ghazal

Wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai

Abbas Tabish

;

wo aane wala nahin phir bhi aana chahta hai
magar wo koi munasib bahana chahta hai

ye zindagi hai ye to hai ye rozgar ke dukh
abhi bata de kahan aazmana chahta hai

ki jaise us se mulaqat phir nahin hogi
wo sari baaten ikaTThi batana chahta hai

main sun raha hun andhere mein aahaTen kaisi
ye kaun aaya hai aur kaun jaana chahta hai

use KHabar hai ki majnun ko ras hai jangal
wo mere ghar mein bhi paude lagana chahta hai

wo KHud-gharaz hai mohabbat ke bab mein 'tabish'
ki ek pal ke ewaz ek zamana chahta hai