اردو हिंदी
Wo aaenge to khilenge nashat-e-wasl ke phul | Shaahi Shayari
wo aaenge to khilenge nashat-e-wasl ke phul

Ghazal

Wo aaenge to khilenge nashat-e-wasl ke phul

Jameel Malik

;

wo aaenge to khilenge nashat-e-wasl ke phul
shab-e-firaq mein un ki saKHawaton ko na bhul

yahi hai kya teri taqsim-e-gulsitan ka usul
kisi ko phul milen aur kisi ko KHar babul

zamin ka rang to ham-rang-e-dam hota hai
bhaTak na jaen kahin meri chahaton ke rasul

tumhaare pas to sim-sim ka ism-e-azam hai
ye kya ki band hai apne liye hi bab-e-qubul

kisi ka dida-e-KHunin bhi rang la na saka
kisi ke shola-e-tan se pighal gae hain usul

bujhaen pyar mohabbat ke shabnamistan se
na baiTh jae gul-e-jaan pe nafraton ki ye dhul

bhari bahaar mein jaise phuwar paDti hai
kuchh is tarah mere dil par hai shairi ka nuzul

ulajh gae kabhi sangin haqiqaton se 'jamil'
kabhi kisi ke tasawwur se ho gae hain malul