we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain
aaya tha kyun adam mein kya kar chala jahan mein
ye marg-o-zist tujh bin aapas mein hanstiyan hain
kyunkar na ho mushabbak shisha sa dil hamara
us shoKH ki nigahen patthar mein dhanstiyan hain
barsat ka to mausam kab ka nikal gaya par
mizhgan ki ye ghaTaen ab tak barsatiyan hain
lete hain chhin kar dil aashiq ka pal mein dekho
KHuban ki aashiqon par kya pesh-dastiyan hain
is waste ki hain ye wahshi nikal na jawen
aankhon ko meri mizhgan Doron se kastiyan hain
qimat mein un ke go hum do jag ko de chuke ab
us yar ki nigahen tis par bhi sastiyan hain
un ne kaha ye mujh se ab chhoD duKHt-e-raz ko
piri mein ai diwane ye kaun mastiyan hain
jab main kaha ye us se 'sauda' se apne mil ke
is sal tu hai saqi aur mai-parastiyan hain
Ghazal
We suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
Sauda Mohammad Rafi