اردو हिंदी
Waqt kya shai hai pata aap hi chal jaega | Shaahi Shayari
waqt kya shai hai pata aap hi chal jaega

Ghazal

Waqt kya shai hai pata aap hi chal jaega

Shaad Aarfi

;

waqt kya shai hai pata aap hi chal jaega
hath phulon pe bhi rakhkhoge to jal jaega

jis ko mahfil se nikalo ge nikal jaega
magar adbar to adbar hai Tal jaega

kahin fitrat ke taqaze bhi badal sakte hain
ghas par sher jo paloge to pal jaega

kah diya tha ki ye rahbar jo chuna hai tum ne
saf tote ki tarah aankh badal jaega

wo badalte hue mahaul ka sancha hi sahi
koi sikka to nahin zehn ki Dhal jaega

subh-e-mayus-e-gulistan ki qasam phir kahiye
baghbanon ke dimaghon se KHalal jaega

mai-kade aa ke wo insan banen ya na banen
hazrat-e-shaiKH ka iman sambhal jaega

sitam-o-zulm ki Tahni bhi nahin phal sakti
aap ne bagh lagaya hai to phal jaega

farz hain hum pe bayanat-e-basirat ai 'shad'
jis ki qismat mein sambhalna hai sambhal jaega