waqt ke rangin gul-daste ko yaad aaega ThanDa hath
jab bikhrenge wo gesu to mar jaega ThanDa hath
bhigi palken soch ki uljhan daman thame puchh rahi hain
kab tak tar-e-gareban yaro suljhaega ThanDa hath
saz-e-taghazzul chheDne walo ai afsane likhne walo
aaj lakiron ki tafsiren dohraega ThanDa hath
garm lahu ki bunden boen tanhai ki miTTi Dalen
patjhaD aae un shaKHon par ug aaega ThanDa hath
patthar patthar jot jalegi sahil sahil shoale honge
bhigi bhigi sard hawa mein sharmaega ThanDa hath
bagh ke mali mere ghunche ghairon ne pamal kiye
phir bhi teri phulwari ko mahkaega ThanDa hath

Ghazal
Waqt ke rangin gul-daste ko yaad aaega ThanDa hath
Saghar Siddiqui