اردو हिंदी
Waqt ek dariya hai dariya sab baha le jaega | Shaahi Shayari
waqt ek dariya hai dariya sab baha le jaega

Ghazal

Waqt ek dariya hai dariya sab baha le jaega

Asad Badayuni

;

waqt ek dariya hai dariya sab baha le jaega
hum magar tinke hain hum tinkon se kya le jaega

ek ajab aashob hai kyun bastiyon mein jalwagar
kya ye har insan se KHauf-e-KHuda le jaega

hai to KHurshid-e-haqiqat par baDa be-mehr hai
dil se jazbe aankh se aansu chura le jaega

boriye par baiThne ka lutf hi kuchh aur hai
shahryar-e-asr is takiye se kya le jaega

har guzargah-e-tamanna par bahut si gard hai
lekin is ko ek hi jhonka uDa le jaega

aafiyat ke daeron mein yar sare band hain
koi mausam koi tufan us se kya le jaega