waqt bhi ab mera marham nahin hone pata 
dard kaisa hai jo maddham nahin hone pata 
kaifiyat koi mile hum ne sambhaali aise 
gham kabhi gham se bhi mudgham nahin hone pata 
mere alfaz ke ye hath bhi shal hon jaise 
ho raha hai jo wo matam nahin hone pata 
dil ke dariya ne kinaron se mohabbat kar li 
tez bahta hai magar kam nahin hone pata 
itna mil leta hai az-rah-e-takalluf hi sahi 
koi mausam mera mausam nahin hone pata
        Ghazal
Waqt bhi ab mera marham nahin hone pata
Sarwat Zehra

