اردو हिंदी
Waqt banjara-sifat lamha ba lamha apna | Shaahi Shayari
waqt banjara-sifat lamha ba lamha apna

Ghazal

Waqt banjara-sifat lamha ba lamha apna

Nida Fazli

;

waqt banjara-sifat lamha ba lamha apna
kis ko malum yahan kaun hai kitna apna

jo bhi chahe wo bana le use apne jaisa
kisi aaine ka hota nahin chehra apna

KHud se milne ka chalan aam nahin hai warna
apne andar hi chhupa hota hai rasta apna

yun bhi hota hai wo KHubi jo hai hum se mansub
us ke hone mein nahin hota irada apna

KHat ke aaKHir mein sabhi yun hi raqam karte hain
us ne rasman hi likha hoga tumhaara apna