اردو हिंदी
Wajud par inhisar maine nahin kiya tha | Shaahi Shayari
wajud par inhisar maine nahin kiya tha

Ghazal

Wajud par inhisar maine nahin kiya tha

Mohammad Izhar ul Haq

;

wajud par inhisar main ne nahin kiya tha
ki KHak ka eatibar main ne nahin kiya tha

safed resham ki oDhni mere hath mein thi
magar use daghdar main ne nahin kiya tha

ye be-niyazi ki KHu mere husn mein bahut thi
magar use be-qarar main ne nahin kiya tha

kahin se yak-laKHt zindagi meri kaT dega
jo rasta iKHtiyar main ne nahin kiya tha

sumon tale raund de KHushi se magar ye sun le
gunah ai shahsawar main ne nahin kiya tha

dikhai dene laga wo ek tisra kinara
abhi jawani ko par main ne nahin kiya tha

ghurub ka waqt tha muqarrar so chal paDa main
kisi ka phir intizar main ne nahin kiya tha