wahshat usi se phir bhi wahi yar dekhna
pagal ko jaise chand ka didar dekhna
is hijrati ko kaam hua hai ki raat din
bas wo charagh aur wo diwar dekhna
panw mein ghumti hai zamin aasman talak
is tifl-e-shir-KHwar ki raftar dekhna
ya-rab koi sitara-e-ummid phir tulu
kya ho gae zamin ke aasar dekhna
lagta hai jaise koi wali hai zuhur mein
ab sham ko kahin koi mai-KHwar dekhna
is wahshati ka haal ajab hai ki us taraf
jaana bhi aur jaanib-e-pindar dekhna
dekha tha KHwab shaer-e-momin ne is liye
tabir mein mila hamein talwar dekhna
jo dil ko hai KHabar kahin milti nahin KHabar
har subh ek azab hai aKHbar dekhna
main ne suna hai qurb-e-qayamat ka hai nishan
be-qamati pe jubba-o-dastar dekhna
sadiyan guzar rahi hain magar raushni wahi
ye sar hai ya charagh sar-e-dar dekhna
is qafile ne dekh liya karbala ka din
ab rah gaya hai sham ka bazar dekhna
do chaar ke siwa yahan likhta ghazal hai kaun
ye kaun hain ye kis ke taraf-dar dekhna
Ghazal
Wahshat usi se phir bhi wahi yar dekhna
Obaidullah Aleem