اردو हिंदी
Wahm koi guman mein tha hi nahin | Shaahi Shayari
wahm koi guman mein tha hi nahin

Ghazal

Wahm koi guman mein tha hi nahin

Hamdam Kashmiri

;

wahm koi guman mein tha hi nahin
naqsh apna nishan mein tha hi nahin

mujh se mansub ho gaya kyun kar
wo jo mere bayan mein tha hi nahin

log kaise mera yaqin karte
jhuT mere bayan mein tha hi nahin

chor aaya gaya bhi KHali hath
main to apne makan mein tha hi nahin

bas purani ghisi-piTi baaten
rang taza bayan mein tha hi nahin

phiki phiki bahaar guzri hai
rang apna KHizan mein tha hi nahin

hum ne sun kar bhi an-suni kar di
kuchh tassur azan mein tha hi nahin

mere sar ke liye jo ho mauzun
sang wo aastan mein tha hi nahin

der se KHamushi hai KHema-zan
shor kya karwan mein tha hi nahin

aa raha tha zamin ki jaanib
waswasa aasman mein tha hi nahin