wahi gul hai gulistan mein wahi hai shama mahfil mein
wahi yusuf hai zindan mein wahi laila hai mahmil mein
hazaron ban gai hain kushtagan-e-KHal ki qabren
jagah til bhar nahin baqi zamin-e-ku-e-qatil mein
nahin raushan dilon ki qadr kuchh arbab-e-zahir ko
ijazat baiThne ki shama ko di kis ne mahfil mein
ye aalam nur ka hai jalwa-e-dagh-e-mohabbat se
nahin kuchh farq mere dil mein aur KHurshid-e-manzil mein
syahi-e-KHun-e-sauda ki ye waqt-e-qatl kaam aai
lagaya surma chashm-e-jauhar-e-shamshir-e-qatil mein
ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai
bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein
nazar aata nahin manind-e-abru ek mah-e-nau
mahinon rahti hain wo hasraten madd-e-muqabil mein
na ho munkir na ho munkir KHuda wo hai KHuda wo hai
rujua qalb ho jate hai jis ki samt mushkil mein
nahin jauhar liye hain bas-ki shauq-e-qatl mein bose
hamare naqsh-e-dandan hain lab-e-shamshir-e-qatil mein
wo aawara hun main hai KHatm mujh par tez-raftari
ki hain miqraaz donon panw mere qat-e-manzil mein
tumhaare gesu-e-pechan ki jab tarif likhta hun
qalam paband ho jata hai misron ki salasil mein
falak par jae isa hai gaya zer-e-zamin qarun
zamin-o-asman ka farq paya haqq-o-baatil mein
bashar tanha nahin diwane us shamshad-qamat ke
shajar jakDe hue hain ishq-e-pechi ki salasil mein
miTa harf-e-mohabbat aap ke aariz pe KHat nikla
hamara nam ab likhiye to likhiye fard-e-baatil mein
umid-e-madilat us shah se hai mujh ko ai 'nazim'
hui jis ki wiladat bhi zaman-e-shah-e-adil mein
Ghazal
Wahi gul hai gulistan mein wahi hai shama mahfil mein
Syed Yusuf Ali Khan Nazim