اردو हिंदी
Wahi arman jaise ji jo mushkil se nikalte hain | Shaahi Shayari
wahi arman jaise ji jo mushkil se nikalte hain

Ghazal

Wahi arman jaise ji jo mushkil se nikalte hain

Tilok Chand Mahroom

;

wahi arman jaise ji jo mushkil se nikalte hain
ba-shakl-e-ashk-o-fariyaad-o-fughan dil se nikalte hain

kisi mein hausla hota hai tufanon se laDne ka
safine yun to sab daman-e-sahil se nikalte hain

hamare ham-safar hum se mukaddar hain bas itne par
ki hum bach kar ghubar-e-rah-e-manzil se nikalte hain

ghazab hai ai zamin to un hasinon ko nigal jae
jo husn-e-zau-fishan mein mah-e-kaamil se nikalte hain

bharosa kuchh nahin 'mahrum' anwar-masarrat ka
sharare bhi kabhi taron ki mahfil se nikalte hain