wahan mahfil na sajai jahan KHalwat nahin ki
us ko socha hi nahin jis se mohabbat nahin ki
ab ke bhi tere liye jaan se guzar jaenge hum
hum ne pahle bhi mohabbat mein siyasat nahin ki
tum se kya wada-KHilafi ki shikayat karte
tum ne to lauT ke aane ki bhi zahmat nahin ki
dhaDkanen sine se aankhon mein simaT aai thin
wo bhi KHamosh tha hum ne bhi wazahat nahin ki
raat ko raat hi is bar kaha hai hum ne
hum ne is bar bhi tauhin-e-adalat nahin ki
gard-e-aina haTai hai ki sachchai khule
warna tum jaante ho hum ne baghawat nahin ki
bas hamein ishq ki aashufta-sari khinchti hai
rizq ke waste hum ne kabhi hijrat nahin ki
aa zara dekh len duniya ko bhi kis haal mein hai
kai din ho gae dushman ki ziyarat nahin ki
tum ne sab kuchh kiya insan ki izzat nahin ki
kya hua waqt ne jo tum se riayat nahin ki

Ghazal
Wahan mahfil na sajai jahan KHalwat nahin ki
Saleem Kausar