wahan bhi zahr-zaban kaam kar gaya hoga
ki aadmi tha wo baaton se Dar gaya hoga
thi main bhi us pe hansi mil ke is jahan ke sath
ye sun ke sharm se shayad wo mar gaya hoga
hazar bar suna phir bhi dil nahin mana
ki mere pyar se dil us ka bhar gaya hoga
nae makin hain ab wan use KHabar kab thi
baDe KHulus se wo mere ghar gaya hoga
koi daricha khula rah gaya tha aandhi mein
mera wajud yaqinan bikhar gaya hoga
wo jaanta to hai mahfil ke bhi sabhi aadab
jo dekh kar nahin uTTha to Dar gaya hoga
na ho jo sath pe halchal to is se ye na samajh
chaDha hua tha jo dariya utar gaya hoga
Ghazal
Wahan bhi zahr-zaban kaam kar gaya hoga
Shabnam Shakeel

