wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya
hue hain apne hi dil se magar hum bad-guman kya kya
par-e-parwaz nila aasman manzil sitaron ki
kaTe shahpar to yaad aane lagin jaulaniyan kya kya
ye apna dil jo ab aaseb-e-KHamoshi ka maskan hai
kabhi guzre the is suni Dagar se karwan kya kya
sukut-e-nim-shab ki aahaTen aur raat ka jadu
ye manzar sath le aaya teri dildariyan kya kya
jahan ahl-e-nazar ahl-e-hunar ki hukmarani thi
wahan minqar-e-zer-e-par hain baiThe nukta-dan kya kya
ab apne ghar ka bhi ahwal lab par la nahin sakte
kiya karte the hum ahwal-e-alam ka bayan kya kya
ajab tira-shabi se ab rah-o-rasm-e-junun Thahri
hue nisyan ke parde mein mah-o-anjum nihan kya kya

Ghazal
Wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya
Sajida Zaidi