wafa ka zikr chhiDa tha ki raat bit gai
abhi to rang jama tha ki raat bit gai
meri taraf chali aati hai nind KHwab liye
abhi ye muzhda suna tha ki raat bit gai
main raat zist ka qissa sunane baiTh gaya
abhi shurua kiya tha ki raat bit gai
yahan to chaaron taraf ab talak andhera hai
kisi ne mujh se kaha tha ki raat bit gai
ye kya tilism ye pal bhar mein raat aa bhi gai
abhi to main ne suna tha ki raat bit gai
shab aaj ki wo mere nam karne wala hai
ye inkishaf hua tha ki raat bit gai
nawed-e-subh jo sab ko sunata phirta tha
wo mujh se puchh raha tha ki raat bit gai
uThe the hath dua ke liye ki raat kaTe
dua mein aisa bhi kya tha ki raat bit gai
KHushi zarur thi 'taimur' din nikalne ki
magar ye gham bhi siwa tha ki raat bit gai
Ghazal
Wafa ka zikr chhiDa tha ki raat bit gai
Taimur Hasan