waqif nahin hum ki kya hai behtar
juz ye ki teri raza hai behtar
deta hai wahi tabib-e-haziq
bimar ko jo dawa hai behtar
kis se kahun haal-e-bad ki wo aap
kuchh mujh se bhi jaanta hai behtar
aaina ho ya to aab lekin
har shakl mein ek safa hai behtar
charche se agar ho sohbat-e-gham
shadi se hazar ja hai behtar
le nala KHabar ki zaKHm dil ka
phir kahte hain ho chala hai behtar
har uzw hai dil-fareb tera
kahiye kise kaun sa hai behtar
jati hai nasim us gali ko
uTh sakiye to qafila hai behtar
'qaem' jo kahen hain farsi yar
is se to ye reKHta hai behtar
Ghazal
Waqif nahin hum ki kya hai behtar
Qayem Chandpuri