اردو हिंदी
Wahima hoga yahan koi na aaya hoga | Shaahi Shayari
wahima hoga yahan koi na aaya hoga

Ghazal

Wahima hoga yahan koi na aaya hoga

Tauseef Tabassum

;

wahima hoga yahan koi na aaya hoga
mere saya hi mere jism se lipTa hoga

chand ki tarf nigahon mein liye KHwab-e-tarab
aur ek umr abhi KHak pe sona hoga

ashk aae hain to ye sair-e-charaghan bhi sahi
is se aage to wahi KHun ka dariya hoga

gar kabhi TuTi badalti hui rut ki zanjir
ek ek phul yahan KHud ko tarasta hoga

hum to wabasta rahe tujh se ki hai KHu-e-wafa
tu ne kya soch ke ai gham hamein chaha hoga

shauq-e-tamir basaega KHarabe kya kya
aadmi hai to har ek shahar mein sahra hoga

sae mahke hue goshon mein simaT jaenge
chand niklega to ye shahr akela hoga

yaad aaengi bahut nind se bojhal palken
sham ke sath ye dukh aur ghanera hoga

us ko aankhon mein chhupaoge batao kab tak
kya karoge jo wahi dekhne wala hoga