wade yaKH-basta kamron ke andar girte hain
mere sehn mein jhulse hue kabutar girte hain
kahte hain in shaKHon par phal phul bhi aate the
ab to patte jhaDte hain ya patthar girte hain
KHun ke ye dhaare hum ne pahli bar nahin dekhe
lekin ab in dariyaon mein samundar girte hain
sun lete hain sargoshi ko chup mein Dhalte hue
chun lete hain tir jo apne barabar girte hain
zikr hamara hone laga ab aisa misalon mein
dariyaon ke ruKH pe bane ghar aksar girte hain
jaane kaise zalzale in aankhon mein aan base
parda uThne lagta hai to manzar girte hain
Ghazal
Wade yaKH-basta kamron ke andar girte hain
Ghulam Mohammad Qasir