اردو हिंदी
Wade jhuTe qasMein jhuTi | Shaahi Shayari
wade jhuTe qasMein jhuTi

Ghazal

Wade jhuTe qasMein jhuTi

Baqa Baluch

;

wade jhuTe qasmen jhuTi
duniya ki sab baaten jhuTi

khinchi hain jo sachche dil se
wo be-nam lakiren jhuTi

us ki aankhen bol rahi hain
sab KHush-rang shabihen jhuTi

amn ke sare sapne jhuTe
sapnon ki tabiren jhuTi

hum ne jin ko sachcha jaana
niklin wo sab baaten jhuTi

aaj hamein malum hua hai
guzre kal ki yaaden jhuTi

dekho kan na dharna un par
dil ki sab aawazen jhuTi

bas ek pyar ka bandhan sachcha
aur 'baqa' sab rasmen jhuTi