wada jo tha nibah ka tum ne wafa nahin kiya
hum ne to aaj tak tumhein dil se juda nahin kiya
hum hi wo kam-nasib the mange mili na maut bhi
aap ka kya qusur hai aap ne kya nahin kiya
mom hue pighal gae sang bane chaTaKH gae
phir bhi zaban se aaj tak hum ne gila nahin kiya
dasht-e-talab mein har sada gunj bani bikhar gai
kis ko sulagti ret ne aabla-pa nahin kiya
wo to ye kahiye saKHt-jaan hum the ki war sah gae
tum ne wagarna ek bhi tir KHata nahin kiya
aaj wafa ka wasta deta hai wo sitam-zarif
jis ne ghurur-e-husn mein KHauf-e-KHuda nahin kiya
waise to sab ba-zom-e-KHwesh sachche hain len-den ke
miTTi ka jis pe qarz tha us ne ada nahin kiya
Ghazal
Wada jo tha nibah ka tumne wafa nahin kiya
Murtaza Birlas

