wa chashm-e-tamasha lab-e-izhaar sila hai
koi pas-e-diwar mujhe dekh raha hai
miTTi to meri mar bhi chuki zinda sada hai
main chup hun magar dard mera bol raha hai
ashkon ka hujum aaj jise DhunD raha hai
wo dard ke dariya mein kahin Dub gaya hai
kya zahr sa har samt fazaon mein ghula hai
jo chehra bhi dekho wahi utra sa hua hai
ab KHun ke ashkon se chaman sinchna hoga
bhige hue mausam ne ye paigham diya hai
wa honTon se kya bolun ki aankhen to sili hain
sahraon mein yaron ne mujhe chhoD diya hai
guzri hui kal ke hue sikke sabhi khoTe
jo aaj ka sikka hai wahi qibla-numa hai
kab dahla hai aafat-e-zamana se mera dil
tufanon ko aana hai to darwaza khula hai
logon ne to suraj ki chaka-chaund ko puja
main ne to tere sae ko bhi sajda kiya hai
Ghazal
Wa chashm-e-tamasha lab-e-izhaar sila hai
Khatir Ghaznavi