uThne mein dard-e-muttasil hun main
gard-baad-e-ghubar-e-dil hun main
kabe tak sath aaya shauq-e-sanam
hae but-KHana kya KHajil hun main
haif kis muddai ki jaan hai tu
hae kis aashna ka dil hun main
tujh ko dun kya jawab ai dawar
apne hi aap munfail hun main
teri nazuk tani pe ghaur na ki
apni ummid se KHajil hun main
na hila us ke dar se ta-mahshar
marqad-e-arzu ki sil hun mein
KHak-e-hasti ki gard-baad hai tu
aatish-e-dil ki aab-o-gil hun main
had nahin koi apni haalat ki
ki nigahon mein muntaqil hun main
chha gaya ye tasawwur us but ka
naqsh-e-chin aur but-chagil hun main
zarra si zindagi pahaD hui
aankh ka apni aap til hun main
ai 'qalaq' kyun ki chhoD dun wahshat
waza mein apni mustaqil hun main
Ghazal
UThne mein dard-e-muttasil hun main
Ghulam Maula Qalaq