اردو हिंदी
Usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha | Shaahi Shayari
usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

Ghazal

Usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha

Aasi Ghazipuri

;

usi ke jalwe the lekin visal-e-yar na tha
main us ke waste kis waqt be-qarar na tha

koi jahan mein kya aur tarah-dar na tha
teri tarah mujhe dil par to iKHtiyar na tha

KHiram jalwe ke naqsh-e-qadam the lala-o-gul
kuchh aur us ke siwa mausam-e-bahaar na tha

wo kaun nala-e-dil tha qafas mein ai sayyaad
ki misl-e-tir-e-nazar aasman shikar na tha

ghalat hai hukm-e-jahannam kise hua hoga
ki mujh se baDh ke to koi gunahgar na tha

wafur-e-be-KHudi-e-bazm-e-mai na puchho raat
koi ba-juz nigah-e-yar hoshiyar na tha

lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin
koi libas na tha jo ki mustaar na tha

to mahw-e-gul-ban-o-gulzar ho gaya 'asi'
teri nazar mein jamal-e-KHayal-e-yar na tha