اردو हिंदी
Us zulf se dil ho kar aazad bahut roya | Shaahi Shayari
us zulf se dil ho kar aazad bahut roya

Ghazal

Us zulf se dil ho kar aazad bahut roya

Hasrat Azimabadi

;

us zulf se dil ho kar aazad bahut roya
ye silsila-e-ulfat kar yaad bahut roya

rahm us ko na tha hargiz har chand bahaal-e-sag
us kuche mein main kar kar fariyaad bahut roya

mazlumi meri aur zulm dekh us but-e-kafir ka
rahm aaya sitam ke tain be-dad bahut roya

dil gham se na ho KHali rone se mera lekin
ta ho mere rone se wo shad bahut roya

is ishq ki majburi naseh pe khuli jab se
kar mana-e-mohabbat ka irshad bahut roya

dekhi na KHuda-tarsi ek gabr o musalman se
har ek se talab kar kar main dad bahut roya

anjam mohabbat ka bujha tha magar us ko
jab dil laga shirin se farhad bahut roya

hai taza-giraftaron ki fariyaad ko kya riqqat
shab nala mera sun kar sayyaad bahut roya

sangin-dili us but ki main jis se kahi 'hasrat'
har-chand dil us ka tha faulad bahut roya