us sham wo ruKHsat ka saman yaad rahega
wo shahr wo kucha wo makan yaad rahega
wo Tis ki ubhri thi idhar yaad rahegi
wo dard ki uTTha tha yahan yaad rahega
hum shauq ke shole ki lapak bhul bhi jaen
wo sham-e-fasurda ka dhuan yaad rahega
han bazm-e-shabana mein hama-shauq jo us din
hum the teri jaanib nigaran yaad rahega
kuchh 'mir' ke abyat the kuchh 'faiz' ke misre
ek dard ka tha jin mein bayan yaad rahega
aankhon mein sulagti hui wahshat ke jilau mein
wo hairat o hasrat ka jahan yaad rahega
jaan-baKHsh si us barg-e-gul-e-tar ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yaad rahega
hum bhul sake hain na tujhe bhul sakenge
tu yaad rahega hamein han yaad rahega
Ghazal
Us sham wo ruKHsat ka saman yaad rahega
Ibn e Insha