us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai
wo apni ja-namaz hai aur ye namaz hai
na-saz hai jo hum se usi se ye saz hai
kya KHub dil hai wah hamein jis pe naz hai
pahuncha hai shab kamand laga kar wahan raqib
sach hai haram-zade ki rassi daraaz hai
us but pe gar KHuda bhi ho aashiq to aae rashk
har-chand jaanta hun ki wo pak-baz hai
maddah-e-KHal-e-ru-e-butan hun mujhe KHuda
baKHshe to kya ajab ki wo nukta-nawaz hai
Darta hun KHanjar us ka na bah jae ho ke aab
mere gale mein nala-e-ahan-gudaz hai
darwaza mai-kade ka na kar band mohtasib
zalim KHuda se Dar ki dar-e-tauba baz hai
KHana-KHarabiyan dil-e-bimar-e-gham ki dekh
wo hi dawa KHarab hai jo KHana-saz hai
shabnam ki ja-e-gul se Tapakti hain shoKHiyan
gulshan mein kis ki KHak-e-shahidan-e-naz hai
aah o fughan na kar jo khule 'zauq' dil ka haal
har nala ek kalid-e-dar-e-ganj-e-raaz hai

Ghazal
Us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai
Sheikh Ibrahim Zauq