us samt mujh ko yar ne jaane nahin diya
ek aur shahr-e-yar mein aane nahin diya
kuchh waqt chahte the ki sochen tere liye
tu ne wo waqt hum ko zamane nahin diya
manzil hai us mahak ki kahan kis chaman mein hai
us ka pata safar mein hawa ne nahin diya
roka ana ne kawish-e-be-sud se mujhe
us but ko apna haal sunane nahin diya
hai jis ke baad ahd-e-zawal-ashna 'munir'
itna kamal hum ko KHuda ne nahin diya
Ghazal
Us samt mujhko yar ne jaane nahin diya
Muneer Niyazi