us sada-dil se kuchh mujhe 'baqar' gila na tha
wo ba-wafa ho kya jo kabhi bewafa na tha
dil un se mil gaya hai jo milte nahin kabhi
jo mil gae hain un se kabhi dil mila na tha
bandha par-e-shikasta ne rishta zamin ke sath
uDne ka shauq bhi mujhe had se siwa na tha
manzil-e-wafa ki thi had-e-kaunain se pare
kya dil-e-giraftgan ke liye rasta na tha
phirti thi le ke shorish-e-dil ku-ba-ku hamein
manzil mili to shorish-e-dil ka pata na tha
tufan-e-bahar-e-zist mein KHas ki misal main
pani mein bah raha tha magar Dubta na tha
han jada-e-hayat mein teri gali bhi thi
han ye bhi meri sust-rawi ka bahana tha
dil aise phir gae ki muqabil wo aa gaya
jo meri samt muD ke kabhi dekhta na tha
han wo bhi din the jab gham-e-shirin tha be-sutun
par koi koh-e-talKHi-e-jaan kaTta na tha
ab aah bhi bharen to chaTaKHta hai ja-ba-ja
sang-e-giran-e-gham se jo dil TuTta na tha
zanjir ki sada se gareban ke chaak tak
mere bhi mashghale the main be-dast-o-pa na tha
sar ne mere diya tujhe aashuftagi ka nam
tujh ko to koi shorish-e-gham puchhta na tha
'baqar' KHudi ko chhoD chale kis ke waste
tum jis ko pujte the wo kafir KHuda na tha

Ghazal
Us sada-dil se kuchh mujhe baqar gila na tha
Sajjad Baqar Rizvi