اردو हिंदी
Us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin | Shaahi Shayari
us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin

Ghazal

Us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin

Habib Jalib

;

us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin
taKHt par baiThe hain yun jaise utarna hi nahin

yun mah-o-anjum ki wadi mein uDe phirte hain wo
KHak ke zarron pe jaise panw dharna hi nahin

un ka dawa hai ki suraj bhi unhi ka hai ghulam
shab jo hum par aai hai us ko guzarna hi nahin

kya ilaj us ka agar ho muddaa un ka yahi
ehtimam rang-o-bu gulshan mein karna hi nahin

zulm se hain barsar-e-paikar aazadi-pasand
un pahaDon mein jahan par koi jharna hi nahin

dil bhi un ke hain siyah KHurak-e-zindan ki tarah
un se apna gham bayan ab hum ko karna hi nahin

intiha kar len sitam ki log abhi hain KHwab mein
jag uTThe jab log to un ko Thaharna hi nahin