us par nigah phirti rahi aur dur dur
KHwabon ka ek bagh nigahon mein khil gaya
hairan bahut hua meri aankhon mein jhank kar
aur phir wo in mein phailte manzar mein mil gaya
koi to shai thi jo mere andar badal gai
ya zaKHm khul gaya koi ya koi sil gaya
KHwabon se ek KHumar mein malbus wo badan
ek rang-e-nashsha tha jo mere KHun mein khil gaya
guzri thi us ke pas se ek mauj-e-be-niyaz
andar talak daraKHt mere dil ka hil gaya

Ghazal
Us par nigah phirti rahi aur dur dur
Syed Kashif Raza