us par banti miTti dhanak us ke nam ki
is par main hun aur siyahi hai sham ki
kin kin bulandiyon se ulajhta raha hai zehn
ye aasman jhalak bhi nahin us ke baam ki
alfaz ki giraft se hai mawara hanuz
ek baat kah gaya wo magar kitne kaam ki
ejaz de raha hun ab apne hunar ko main
shamshir ke liye hai zarurat niyam ki
ek raushni si mujh pe utarti hai gah gah
buniyaad us ne Dali payam-o-salam ki
KHushbu ka koi rang na paikar na pairahan
taswir hai magar tere tarz-e-KHiram ki
bolo ki tum bhi rakhte ho ek sarguzisht 'ramz'
sambhlo ki us ne apni kahani tamam ki
Ghazal
Us par banti miTti dhanak uske nam ki
Mohammad Ahmad Ramz