اردو हिंदी
Usne mail-ba-karam ho ke bulaya hai mujhe | Shaahi Shayari
usne mail-ba-karam ho ke bulaya hai mujhe

Ghazal

Usne mail-ba-karam ho ke bulaya hai mujhe

Gopal Mittal

;

us ne mail-ba-karam ho ke bulaya hai mujhe
aaj phir dil ne ye afsana sunaya hai mujhe

sard-mehri pe bhi hota hai tawajjoh ka guman
is tarah us ne tawaqqoa pe lagaya hai mujhe

yun to fitrat mein bhi aashufta-mizaji thi meri
asl mein aap ne diwana banaya hai mujhe

parda-dari thi use rabt-e-nihan ki manzur
bazm mein apni bahut dur biThaya hai mujhe

ye mere zoam-e-bulandi ki saza hai shayad
us ne kuchh soch ke nazron se giraya hai mujhe