اردو हिंदी
Usne dekha tha ajab ek tamasha mujh mein | Shaahi Shayari
usne dekha tha ajab ek tamasha mujh mein

Ghazal

Usne dekha tha ajab ek tamasha mujh mein

Ejaz Obaid

;

us ne dekha tha ajab ek tamasha mujh mein
main jo roya to koi hansta raha tha mujh mein

meri aankhon se KHabar jaan na li ho us ne
koi baadal tha bahut TuT ke barsa mujh mein

jhankne se meri aankhon mein sabhi Darne lage
jab se utra hai koi aaina-KHana mujh mein

kya hua tha mujhe kyun sochta tha us ke KHilaf
warna us ko tha ajab ek aqida mujh mein

sath sath us ke main KHud rota raha tha us sham magar
us ko deta jo dilasa wo nahin tha mujh mein