us ko kho dene ka ehsas to kam baqi hai
jo hua wo na hua hota ye gham baqi hai
ab na wo chhat hai na wo zina na angur ki bel
sirf ek us ko bhulane ki qasam baqi hai
main ne puchha tha sabab peD ke gir jaane ka
uTh ke mali ne kaha us ki qalam baqi hai
jang ke faisle maidan mein kahan hote hain
jab talak hafize baqi hain alam baqi hai
thak ke girta hai hiran sirf shikari ke liye
jism ghayal hai magar aankhon mein ram baqi hai
Ghazal
Usko kho dene ka ehsas to kam baqi hai
Nida Fazli