اردو हिंदी
Usko jate hue dekha tha pukara tha kahan | Shaahi Shayari
usko jate hue dekha tha pukara tha kahan

Ghazal

Usko jate hue dekha tha pukara tha kahan

Zia Zameer

;

us ko jate hue dekha tha pukara tha kahan
rokte kis tarah wo shaKHs hamara tha kahan

thi kahan rabt mein us ke bhi kami koi magar
main use pyara tha par jaan se pyara tha kahan

be-sabab hi nahin murjhae the jazbon ke gulab
tu ne chhu kar gham-e-hasti ko nikhaara tha kahan

bich manjhdar mein the is liye hum par lage
Dubne ke liye koi bhi kinara tha kahan

aaKHir-e-shab meri palkon pe sitare the kai
lekin aane ka tere koi ishaara tha kahan

ye tamanna thi ki hum us pe luTa den hasti
ai 'ziya' us ko magar itna gawara tha kahan