اردو हिंदी
Uski baaten kya karte ho wo lafzon ka bani tha | Shaahi Shayari
uski baaten kya karte ho wo lafzon ka bani tha

Ghazal

Uski baaten kya karte ho wo lafzon ka bani tha

Shehpar Rasool

;

us ki baaten kya karte ho wo lafzon ka bani tha
us ke kitne lahje the aur har lahja la-fani tha

jab main ghar se nikla tha tab KHushk zaban par kanTe the
aur jab ghar mein wapas aaya gardan gardan pani tha

jab kuchh masumon ki jaan thi haiwanon ke narghe mein
tab har surat ho sakti thi har KHatra imkani tha

nam-e-KHuda ab bhi jari hai sab ki zabanon par lekin
jis jazbe ne par lagaya wo jazba shaitani tha

aaj ki mahfil mein ai 'shahpar' nukta-chini thi mujh par
tera to kuchh zikr nahin tha tu kyun pani pani tha