us ki aawaz mein the sare KHad-o-KHal us ke
wo chahakta tha to hanste the par-o-baal us ke
zard-ru ek hi pal mein hui madh-mati sham
lal hone bhi na pae the abhi gal us ke
kahkashaon mein taDapte the sitaron ke parind
sabz aakash pe har-su the bichhe jal us ke
kaT hi lenge judai ka zamana hum to
dekhiye kaise guzarte hain mah o sal us ke
ek din hum bhi khile us ki hasin rahon mein
ek din panw mein hum bhi hue pamal us ke
chandni us ka badan chand hai us ka chehra
khetiyan dhan ki aankhon ke hasin tal us ke
rat-jaga hum bhi manaen ki suna hai hum ne
roz likhti hai sahar KHun se ahwal us ke

Ghazal
Uski aawaz mein the sare KHad-o-Khaal uske
Wazir Agha