us ke partaw se hua hai zafrani rang ka
aaina to aaj bhi hai kahkashani rang ka
hijr ke baadal chhaTe to wasl ki taqwim mein
dil huwaida ho raha hai gulsitani rang ka
pairahan us ka hai aisa ya jhalakta hai badan
ek pari-wash raqs mein hai urghuwani rang ka
aaj ki shab KHas hogi jab sunaunga use
ek qissa apna zati dastani rang ka
doston ki mehrbani se hua ye kaam bhi
main ne dekha hi nahin tha KHun pani rang ka
gar dilon se yun dhuan uThta rahega raat din
aasman kaise bachega aasmani rang ka
han usi ne phul Tanke honge in ashjar par
jis ne miTTi ko diya hai jubba dhani rang ka
Ghazal
Uske partaw se hua hai zafrani rang ka
Obaid Siddiqi