us hasin ka KHayal hai dil mein
jis ka aana muhaal hai dil mein
kyun na dil is KHayal se KHush ho
ki tumhaara KHayal hai dil mein
kya kare rah ke wo KHadang-e-nigah
ab lahu ka bhi kal hai dil mein
jae tang ast marduman bisyar
hasraton ka ye haal hai dil mein
'nuh' go munh se kuchh nahin kahte
un ko tum se malal hai dil mein
Ghazal
Us hasin ka KHayal hai dil mein
Nooh Narvi

