اردو हिंदी
Us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae | Shaahi Shayari
us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae

Ghazal

Us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae

Nushur Wahidi

;

us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae
kis ne ye kaha tha tinke se wo bijli se Takra jae

duniya ki bahaaron se aankhen yun pher lin jaane walon ne
jaise koi lambe qisse ko paDhte paDhte ukta jae

aaghaz-e-mohabbat hai aur dil yun hath se nikla jata hai
jaise kisi alhaD ka aanchal sarka jae Dhalka jae

guzre hue dilkash lamhon ki bhuli hui yaad aisi aai
jaise koi pitam pardesi sote mein achanak aa jae

jab pahle-pahal ehsas hua hai gham ka to dil aisa kanpa
jaise ki dulhan pahli shab ki aahaT jo mile tharra jae

kanghe se ghaneri zulfon mein yun lahren uThti jati hain
jaise ki dhundlaka sawan ka baDhta jae baDhta jae

hasti ka nazara kya kahiye marta hai koi jita hai koi
jaise ki diwali ho ki diya jalta jae bujhta jae

ek aas jo dil ki TuT gai phir dil ki KHushi baqi na rahi
jaise ki andhere ghar ka diya gul ho to andhera chha jae

dil hai ki 'nushur' ek baja hai sine ke andar taron ka
jab choT paDe jhankar uThe jab Thes lage tharra jae