us bewafa ka shahr hai aur waqt-e-sham hai
aaise mein aarzu baDi himmat ka kaam hai
hum ko bhi chhoDta hua aage nikal gaya
jazbon ka qafila bhi baDa tez-gam hai
be-arzu bhi KHush hain zamane mein baz log
yan aarzu ke sath bhi jina haram hai
lafzon ki jaan chhoD de mafhum ko pakaD
warna ye sab muamla tajnis-e-tam hai
tauba ke silsile mein bas itna kahenge hum
maslak ho baada-noshi to tauba haram hai
aaankhon ka hai KHayal ki dana hai dam mein
aur fikr kah rahi hai ki dane mein dam hai
naqqad tum ko puchhte aae the kal 'shuja'
kahte the shairon mein tumhaara bhi nam hai
Ghazal
Us bewafa ka shahr hai aur waqt-e-sham hai
Shuja Khaavar