uryan hi rahe lash gharib-ul-watani mein
dhabbe mere isyan ke na aaen kafani mein
iqrar pe bhi meri tabiat nahin jamti
wo lutf mila hai teri paiman-shikani mein
dil TuT ke juDta nahin shisha ho to juD jae
hai farq yahi soKHtani saKHtani mein
hasrat hai meri aap ki taswir nahin hai
ek chiz hai rakh li hai chhupa kar kafani mein
hum bhi kabhi pariyon mein raha karte the 'shair'
kya dekhte ho hum ko gharib-ul-watani mein
Ghazal
Uryan hi rahe lash gharib-ul-watani mein
Agha Shayar Qazalbash