اردو हिंदी
Un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai | Shaahi Shayari
un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai

Ghazal

Un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai

Akhtar Shirani

;

un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai
do zahr ke pyalon pe qaza khel rahi hai

hain nargis-o-gul kis liye mashur-e-tamasha
gulshan mein koi shoKH ada khel rahi hai

us bazm mein jaen to ye kahti hain adaen
kyun aae ho, kya sar pe qaza khel rahi hai

us chashm-e-siyah mast pe gesu hain pareshan
maiKHane pe ghanghor ghaTa khel rahi hai

bad-masti mein tum ne unhen kya kah diya 'aKHtar'
kyun shoKH-nigahon mein haya khel rahi hai