un ki chashm-e-mast mein poshida ek mai-KHana tha
jam tha saghar tha mai thi shisha tha paimana tha
kya faqat mera hi ek chhalka hua paimana tha
jo bhi un ki bazm mein tha hosh se begana tha
iKHtilaf-e-shakl ne dhoka nigahon ko diya
warna jo kuchh sham-e-sozan thi wahi parwana tha
kis tarah chhupta meri TuTi hui tauba ka raaz
ek main tanha na tha maiKHane ka mai-KHana tha
yaad itna rah gaya hai qissa-e-ahd-e-shabab
ek KHumar-e-be-KHudi tha aap se begana tha
zard chehra band lab aankhon mein aansu dil pe hath
be-zabani ki zaban thi aur mera afsana tha
husn ki duniya ke sath un ki taraf duniya-e-ishq
aur yahan dil hi na tha aur tha bhi to diwana tha
jis ki pamali mein muzmar aabiyari thi 'waqar'
main riyaz-e-dahr mein wo sabza-e-begana tha
Ghazal
Unki chashm-e-mast mein poshida ek mai-KHana tha
Waqar Bijnori