اردو हिंदी
Un ke wadon ka haal kya kahiye | Shaahi Shayari
un ke wadon ka haal kya kahiye

Ghazal

Un ke wadon ka haal kya kahiye

Amjad Najmi

;

un ke wadon ka haal kya kahiye
hafta-o-mah-o-sal kya kahiye

aarzu-e-visal kya kahiye
zehn ka intiqal kya kahiye

husn ko main KHuda samajhta hun
hae mera KHayal kya kahiye

wahi subh-o-masa wahi shab-o-roz
zindagi hai wabaal kya kahiye

un se koi jawab ban na paDa
mera tarz-e-sawal kya kahiye

siskiyan ek mariz-e-gham ki hae
aap ki dekh-bhaal kya kahiye

aap ke lutf mein sitam pinhan
ho gae hum nihaal kya kahiye

aage bas aur kya hai nam-e-KHuda
aap hain be-misal kya kahiye

aarzuon ka hasraton ka lahu
zindagi ka maal kya kahiye