un ke paikan pe paikan chale aate hain
dil mein ghar karne ko mehman chale aate hain
dekh kar aae hain kya aariz o gesu un ke
log hairan pareshan chale aate hain
chaar angul ka wo parcha nahin likhte mujh ko
pas-e-aghyar ke farman chale aate hain
apni mahfil mein mujhe dekh ke kahta hai wo but
kyun mere ghar mein musalman chale aate hain
bazm-e-aghyar mein kis shaKHs ne gustaKHi ki
ki wo KHamosh pasheman chale aate hain
dosh-e-ahbab ye aage hai janaza mera
pichhe sar piTte arman chale aate hain
kya bataen ki 'nasim' aate hain kyun aap ke ghar
muft hone ko pasheman chale aate hain
Ghazal
Un ke paikan pe paikan chale aate hain
Naseem Bharat Puri