un ka KHayal har taraf un ka jamal har taraf
hairat-e-jalwa ru-ba-ru dast-e-sawal har taraf
mujh se shikasta-pa se hai shahr ki tere aabru
chhoD gae mere qadam naqsh-e-kamal har taraf
hum hain jawan bhi pir bhi hum hain adam bhi zist bhi
hum hain asir-e-halqa-e-qaul-e-muhaal har taraf
naghma gira hai bund bund phir bhi uThi hai kitni gunj
uDti phire hai zehn mein gard-e-KHayal har taraf
qalb-e-hayat-o-maut se mil na saka koi jawab
phenka kiye hain garche hum sang-e-sawal har taraf

Ghazal
Un ka KHayal har taraf un ka jamal har taraf
Shamsur Rahman Faruqi