un buton se rabt toDa chahiye
chahiye ab un ko thoDa chahiye
qahba-e-duniya ko chhoDa chahiye
rabt is luli se toDa chahiye
kis zaban se mohtasib tu ne kaha
saghar-o-mina ko toDa chahiye
KHanda-zan hai masti-e-mai-KHwar par
shisha-e-sahba ko toDa chahiye
us bat-e-mai ne kiya hum ko zalil
us ki gardan ko maroDa chahiye
ji mein hai sair-e-falak ko jaen hum
baada-e-gul-gun ka ghoDa chahiye
hai KHiraman naz se mauj-e-nasim
nikhat-e-gul ka ye ghoDa chahiye
donon aankhen kyun na hon dil ko aziz
aahuon ka mujh ko joDa chahiye
gar nishan-e-manzil-e-jaanan mile
phir qadam pichhe na moDa chahiye
ek muddat mein baDhaya tu ne rabt
ab ghaTana thoDa thoDa chahiye
zulmat-e-shab se hai zinat mah ki
zulf ko aariz pe chhoDa chahiye
TuTe dil ko momiya-e-lutf se
ho agar taufiq joDa chahiye
kyun shahidon ka kafan howe safed
un ke tan par lal joDa chahiye
hai jo fikr-e-shah aaali silsila
aalam-e-mani se joDa chahiye
koh to tesha se TuTa kohkan
koshak-e-KHusraw bhi toDa chahiye
paD gai chakkar mein kashti na-KHuda
ab KHuda par is ko chhoDa chahiye
gar samand-e-naz par tu ho sawar
zulf ka hathon mein koDa chahiye
khul gaya mujh se jo ek band-e-qaba
bole us ka hath toDa chahiye
us ki zulfon ko sapera dekh le
gar use kalon ka joDa chahiye
ganj-e-husn us ka hai ruKH aur mar zulf
ganj par kalon ka joDa chahiye
baad-pa hai ablaq-e-chashm-e-siyah
kya use kajal ka koDa chahiye
marta bulbul ko hai kyun baghban
kan gul ka bhi maroDa chahiye
hai chaman mein aamad-e-fasl-e-bahaar
ab dar-e-zindan ko toDa chahiye
hai bahaar aai qaba-e-gul se ab
bulbulon ko lal joDa chahiye
gul bhi un ko KHar aate hain nazar
hasidon ki aankh phoDa chahiye
main hun aasi munh mein mere waqt-e-naza
daman-e-tar ko nichoDa chahiye
rah chuka tan ke qafas mein ye bahut
ruh ke tair ko chhoDa chahiye
ho agar na sar mein sauda ishq ka
phir use patthar se phoDa chahiye
hath mein ai gul-badan mehndi laga
panja-e-marjaan maroDa chahiye
kaun si mushkil hai jo aasan na ho
dil mein istiqlal thoDa chahiye
manzil-e-mulk-e-baqa mein 'mashriqi'
daman-e-nanak na chhoDa chahiye

Ghazal
Un buton se rabt toDa chahiye
Sardar Genda Singh Mashriqi